0

Tab Maa,Teri Yaad Aayi Hai


Jab akela pad jaata hoon
hansne khelne ke liye,koi saathi na dhoondh paata hoon
tab maa,bachpan ke ludo,saanp seedhi,aur carron mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab roz bahar khaana khane jaata hoon
kachche maide ki roti aut teekhi sabzi nigal nahi paata hoon
tab maa,tere fulke aur lauki ki sabzi mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab kapde dhulwa kar laata hoon
dhuli shirt ke adh maile collar aur cuff par chakrata hoon
tab maa,tere dhoye hue rumal ki khushboo mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab kisi imtihaan ya musibat mein pad jaata hoon
mehnat karke bhi dhairya na juta paata hoon
tab maa,aadhi raat ko uth kar teri banai chai mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab jeewan ki koi choti jung jeet jaata hoon
dostoon ki shabashi aur mauj mein kho jaata hoon
tab maa,tujhe batane par jab teri aankhoon mein khushi ki nami na dekh paaya hoon
Teri Yaad Aayi Hai

Jab kabhi jaan kar koi badi ghalati kar jaata hoon
aur fir asamarth,khud par jhunjhlata hoon
tab maa,teri daanth ke prayashchit mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab beemar pad jaata hoon
bukhar se jhulasta,aundha pada,pet ko dabata hoon
pareshan,bistar se uth kar paani bhar kar laata hoon
tab maa,teri thapthapi aur khichdi mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab ghar se door koi tyohaar aata hai
jab shehar ka shor aur kamre ka sannata kha jaata hai
tab maa,tere haath ki bani kheer mein
Teri Yaad Aayi Hai

Jab kabhi jeevan mein ladkhadata hoon
jab naye sangharsh se pehle,khud ko dhandhas bandhata hoon
jab kabhi khush hokar,khud par itraata hoon
jab kabhi aalas mein bhookhe pet so jaata hoon
jab kabi khud se batiyaata hoon
bas yahi samajh mein aaya hai,jeevan ka har rang tujh se hi to paaya hai
jab saans leta hoon.....
Tab Maa,Teri Yaad Aayi Hai
Back to Top